Waqt Bewaqt yaad aajta hai tu ,
E mere gujre kal tu aaj bhi hai maujood ,
Dil ke kisi kone mein dafn ,
Dikhave ki iss duniya ki nazroin se oojhal,
Tu hai kahin mayoos, par zinda betha hua,
Aur kisi ko nahi, bas mujhe
Waqt Bewaqt yaad aajata hai tu ...
Mere saaye ko bhula chuki hai jo duniya , inn rango ke bazaar mein,
Jaha milte hai khilone naye, roz dil lagaane ke ,
Kisi chahiye mera dard, jo baantega,
Yaha har koi laga hai ik hod mein , khush ho jaane ke,
Thoda thehar kar koi jo piche dekhta hai,
Vo aur koi nahi , bas mein hu jisse,
Wat Bewaqt yaad aajata hai tu...
Koi Shikva , kab gunaah ban jata hai , ye hota jo maalum
Pehle se hi mein naqaab , uthatata nahi , apni haqiqat dikhata nahi,
Bhaare bazzaar , jism hota nilaam mera shayd, par mein apni rooh to bachaa paata,
Mehsus karne ki jagah, shayd mein bhi faydoin mein soch paata ,
Bade Shikwo se , bhari hai zindagi meri , Yahi zamaana kehta hai mujhe har su,
Fir bhi , naajaane kyu,
Waqt Bewqat yaad aajata hai tu...